Friends aaj hum baat karenge asianpaints ki High gloss pu polish ke bare mein aur sath hi janenge ki us polish ko krane ki kya cost aati hai
To friends ye hai wo asianpaints ki top quality ki Emporio pu polish ye asianpaints ki normal pu polish se har chij mein 10 times zyada best hai fir chahe baat ho quality ki ya fir finishing ki ya fir shyne ya matt wagera ki ye ekdum luxury quality ki polish hai
aap is polish ko apne ghar ke kisi bhi type ke wooden furniture par kra sakte ho aur is polish ko interior aur exterior dono hi traf Kiya jaa skta hai aur is polish ka sbse brha fayda ye hai ki iska material ekdm clear glass ki tra hota hai matlab aap iske material ko ek trah ka pighla hua kach Maan sakte ho aur isi liye ye pu polish aapke ghar ke farniture par ek trah ki clear glass ki lamination bna deti hai jiski vajah se aapka furniture kitni hi tej dhoop ya barish se protect rehta hai
aur yhi vjah hai jis vjah se is poilsh ki life bhi bahut acchi ho jati h mtlb agr aap ek bar is Emporio polish ko kra lete ho to iski ye lamination ki layer 10/15 years tak bhi aapke furniture ko ekdum nye jesa hi rakhegi na to iski shyne m koi khas frk prega aur na hi iski quality mein
mtlb jesi finishing iski naye par hoti hai vaisi hi 10 saal baad bhi rhegi
Bas ye thodi zyada mehngi polish hoti hai aur isi liye is polish ko na to har koi kra skta hai aur na hi har koi kar skta hai
q k ye mehngi hone k sath sath high quality ki polish hoti hai aur ye sirf spray se hi ho skti hai aur isi liye iski base bnana har kisi ke baski nhi hai
Matlab melamyne jaisi polish ko to koi bhi kar sakta hai par is Emporio ko har koi nhi kar sakta hai
isi liye agar aap is polish ko krane ki soch rhe ho to tab aapko ek professional painter se hi is polish ko krana hoga
Nhi to aapka material aur paisa dono hi vest ho jayaga
baat kre is polish ko krane ki cost ki to is polish ko krane ki cost har City mein alag alag ho sakti hai wo depend karta hai ki is polish ko karne wala kaisa kaarigar hai matlab ye ki jo bhi banda is polish ko krega to wo kaisa kaam karna janta hai matlab jaisa uska kaam hoga vaisi hi uski cost hogi matlab kehne ka ye hai ki is polish mein sabse zyada Regmal aur buffing ka hi kaam hota hai aur Jo bnda iski buffing sahi se kr skta hai to wo cost bhi thodi zyada le skta hai
lekin fir bhi mein aapko ek mota mota idea de deta hoon ki is polish ko 350rs se lekar 400rs per sqft tak karke koi bhi professional painter de dega
aur ye cost with material ki hai wahi agr sirf labour cost ki hi baat kre to ye lagbhag 200rs per sqft ke aasapas hi ho sakti hai aur agr area zyada ho to ye cost kam bhi ho sakti hai to bas yhi sb kuch hai jo aapko is polish ke bare mein janna tha
अगर आप इस Emporio polish को करने की प्रक्रिया को विस्तार से जानना चाहते हैं, तो हमने इन सभी polish को करने का complete process video में बता रखा है आप हमारे YouTube channel पर जाकर इन इस polish की videos देख सकते हो
आशा करते हैं कि यह आर्टिकल आपके लिए मददगार साबित होगा और आपके घर को लंबे समय तक खूबसूरत बनाए रखने में सहायक होगा
धन्यवाद! यदि आपके पास और कोई प्रश्न हो या आपको कोई अन्य जानकारी चाहिए, तो कृपया पूछें। हम आपकी मदद के लिए तत्पर रहेंगे और आपको इस polish को कराने में सहायता प्रदान करेंगे।
धन्यवाद और शुभकाम
नाएं!